Monday, October 11, 2010

shoredil

apane khyaal me, wo mujhe maat de gaya.
saawan wo meri, aankh ko saugaat de gaya.
ehsaan kar gaya hai, ya khairaat de gaya.
jiski subah nahi, wo mujhe raat de gaya.

meri aankhon ke saawan se, toab saawan bhi jalata hai.
inhe barson barasana hai, wo kuchh arasa barasata hai.
bahut kam hi farak paaya, meri nazaron ne dono me.
ye ik raftaar se barse, wo tham-tham k barasata hai.
kabhi saawan ki ik baarish, hanseen me usase maangi thi.
mukkaddar ab 'shashi' akasar, hanseen meri pe hanasta hai.

No comments:

Post a Comment